hava zamane ki saaqi badal to sakti hai
hayat saghar-e-rangin men Dhal to sakti hai
bas ik latif tabassum bas ik hasin nazar
mariz-e-dil ki ye halat sambhal to sakti hai
jahan se chhoḌ rahe ho mujhe andhere men
vahin se rah-e-mohabbat nikal to sakti hai
phir apne ghuncha-e-zaḳhm-e-jigar ka kya hoga
nasim-e-sub.h miri samt chal to sakti hai
tiri nigah-e-karam ki qasam hai ab bhi mujhe
yahi yaqin ki duniya badal to sakti hai
‘salam’ jam-o-subu ki ye sha.iri ma.alum
vagarna apni tabi.at bahal to sakti hai
Leave a Reply