hain ashk miri ankhon men qulzum se ziyada
hain daagh mire siine men anjum se ziyada
sau ramz ki karta hai ishare men vo baten
hai lutf khamoshi men takallum se ziyada
juz sabr dila chara nahin ishq-e-butan men
karte hain ye zulm aur tazallum se ziyada
mai-khane men sau martaba main mar ke jiya huun
hai qulqul-e-mina mujhe qum-qum se ziyada
sau raqs se afzun hai pari-ru tiri raftar
paanv ki sada laakh tarannum se ziyada
taklif-e-takalluf se kiya ishq ne azad
mu-e-sar-e-shorida hain qaqum se ziyada
mashuqon se ummid-e-vafa rakhte ho ‘nasikh’
nadan koi duniya men nahin tum se ziyada
Leave a Reply