soz-e-dil bhi nahin sukun bhi hai
zindagani vabal yuun bhi hai
tiri ḳhvahish aur is qadar ḳhvahish
vaj.h-e-hasil sahi junun bhi hai
ḳhush bhi hai iltifat-e-dost se dil
ghairat-e-ishq sar-nigun bhi hai
jal ke bujh bhi ga.i ‘ziya’ aksar
aag siine men juun ki tuun bhi hai
Leave a Reply