sochte kya hain chhalakta jaam le kar
piji.e us bevafa ka naam le kar
aa.e the to haath ḳhali the hamare
ja rahe hain sainkaḌon ilzam le kar
ik diya ghar men jalaya tha use bhi
le gaya koi tumhara naam le kar
dhuup aa sakti thi vo aati nahin hai
kaun aa.ega yahan paigham le kar
kaaT liin darbar ne sab ki zabanen
bulbulen ḳhamosh hain in.aam le kar
kaun si ganga nahaya hai ye suraj
jab bhi aaya hai to qatl-e-am le kar
ab nahin koi zarurat ham-safar ki
chal paḌa huun gardish-e-ayyam le kar
ashiyan hota to hota lauTna bhi
kya kare ‘panchhi’ avadh ki shaam le kar
Leave a Reply