siyah safha-e-hasti pe main ubhar na saka
miri shabih men koi bhi rang bhar na saka
har ek raah thi masdud kohsaron men
bulandiyon se kisi tarah main utar na saka
bure dinon ka main ik ḳhaufnak manzar huun
mujhe kabhi bhi koi shaḳhs yaad kar na saka
nukile ḳhaar the shishe the sang-reze the
rah-e-hayat se be-dagh main guzar na saka
pukarta raha mujh ko koi magar ‘shahid’
main mauj-e-bahr tha pal bhar kahin Thahar na saka
Leave a Reply