ik shaḳhs bhari-bazm men tanha nazar aaya
apna to nahin tha magar apna nazar aaya
ham tishna-labon ne kabhi ja kar lab-e-dariy
dariya ko bhi dekha hai to pyasa nazar aaya
shabnam-zada phulon ke siva sehn-e-chaman men
ai abla-payan-e-junun kya nazar aaya
ai ghumti-phirti hui lasho ye batao
insan koi is shahr men zinda nazar aaya
dekha ki vahi surat-e-divar hai ‘nashtar’
jis ko kisi divar ka saaya nazar aaya
Leave a Reply