koshish bhi ye ḳhilaf-e-tabi.at kabhi na ki
asan raston ki siyahat kabhi na ki
ham ne dilon ko jiita hai husn-e-suluk se
tegh-o-tabar ke bal pe hukumat kabhi na ki
ham pasban-e-amn-o-aman hi rahe sada
gharat-gari ki ham ne vakalat kabhi na
beja navazishon ke na qaa.il kabhi the ham
mal-o-mata’ ki koi chahat kabhi na ki
guzre hain kitni baar sanam-ḳhanon se magar
us ke siva kisi ki ibadat kabhi na ki
hain mohtaram hamare liye ambiya tamam
ham ne kisi nabi ki ihanat kabhi na ki
jab bhi chale hain jada-e-haq par chale hain ham
ham ne munafiqon ki ita.at kabhi na ki
ki hain zamin-e-dil pe mohabbat ki khetiyan
fasl-e-hasad ki ham ne zara.at kabhi na ki
maula se maghfirat ke alava dua men ‘shad’
kuchh aur mangne ki jasarat kabhi na ki
Leave a Reply