sitara aankh men dil men gulab kya rakhna
ki Dhalti umr men rang-e-shabab kya rakhna
jo regzar-e-badan men ghubar uḌta ho
to chashm-e-ḳhak-e-rasida men ḳhvab kya rakhna
safar nasib hi Thahra jo dasht-e-ghurbat ka
to phir guman men fareb-e-sahab kya rakhna
jo Duub jaana hai ik din jazira-e-dil bhi
to koi naqsh sar-e-sat.h-e-ab kya rakhna
ulaT hi dena hai aḳhir piyala-e-jan bhi
hava ke dosh pe tasht-e-habab kya rakhna
bas itna yaad hai ik bhuul si hui thi kahin
ab is se baḌh ke dukhon ka hisab kya rakhna
Leave a Reply