sitam ke parde men phir karam kar sukun ko iztirab kar de
dil-e-fasurda ko zindagi de shabab ko phir shabab kar de
ye maana lakhon hikayaten hain hazaron dil men shikayaten hain
magar kahen kya jo ik nazar men koi hamen la-javab kar de
thahar dil-e-be-qarar dam bhar vo aae hain be-hijab ho kar
sambhal ki ye iztirab-e-nau hi kahin na haail naqab kar de
vo alam-e-be-khudi ho dil par vo kaifiyat be-hisi ki chhae
jo arzu-e-karam mita de jo be-niyaz-e-itab kar de
na aaega lab pe harf-e-matlab na khul sakegi zaban-e-‘kaifi’
nigah-e-hasrat ko tarjuman kar khamoshiyon ko javab kar de
Leave a Reply