siine ka ab tak hai zakhm aala miyan
hai ani mizhgan ki ya bhala miyan
kis zamane ki ye dushman thi miri
is mohabbat ka ho munh kaala miyan
ishq men tere lute sab durr-e-ashk
aisi var-kharchi ne ghar ghala miyan
jo bisat apni men tha hosh-o-khirad
jhoka jholi men tire laala miyan
ishq ke zevar ko aansu mat kaho
motiyon ki hai ye gul-mala miyan
khol pat ghunghat ka dikhlaya jamal
mere taale ka khula taala miyan
sarv-e-bala ko tire to dekh kar
ho gai duniya tah-o-bala miyan
neki meri aur badi apni ko jaan
sab badi ko apni to dhala miyan
tala, baala ‘azfari’ ko de gae
kaan ka apne dikha baala miyan
Leave a Reply