phir koi jashn manao ki hansi aa jaa.e
giit ik aisa sunao ki hansi aa jaa.e
dam ghuTa jaata hai is raat ki tariki men
koi basti hi jalao ki hansi aa jaa.e
tum to be-laus ho muḳhlis ho karam-farma ho
itne nazdik na aao ki hansi aa jaa.e
kaam karna hai to maidan men aao ‘shaukat’
is tarah baiTh na jaao ki hansi aa jaa.e
Leave a Reply