jale charagh bujhane ki zid nahin karte
ab aa gae ho to jaane ki zid nahin karte
kisi ki aankh men aansu hamen pasand nahin
dilon ke zakhm dikhane ki zid nahin karte
tumhare naam ka bhi zikr ho na jaae kahin
ghazal ke sher sunane ki zid nahin karte
hamare saae bhi raste men chhod jaate hai
hamara saath nibhane ki zid nahin karte
khala men koi imarat kabhi nahin tikti
vahan makan banane ki zid nahin karte
ye shahr-e-sang hai patthar ke log rahte hain
yahan pe phol khilane ki zid nahin karte
zamin jaisa kahin chand bhi na ho jaae
zamin pe chand ko laane ki zid nahin karte
Leave a Reply