• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sina To dhund Liya Muttasil Apna Humne

Sina To dhund Liya Muttasil Apna Humne

poet

siina to dhund liya muttasil apna ham ne

nahin malum diya kis ko dil apna ham ne

ahd kya kar ke tire dar se uthe the qismat

phir dikhaya tujhe ru-e-khajil apna ham ne

meri aludgiyon se na kar ikrah ai shaikh

kuchh banaya to nahin ab-o-gil apna ham ne

sakht kafir ka dil afsos na sharmaya kabhi

puuja juun but to bahut sang-dil apna ham ne

paani pahuncha sake jab tak miri chashm-e-namnak

jal bujha paaya dil-e-mushtail apna ham ne

baad sau ranjish-e-beja ke na paaya ba-ghalat

na pashiman tujhe munfail apna ham ne

dar gharibi na tha kuchh aur mayassar ‘hasrat’

ishq ki nazr kiya diin o dil apna ham ne

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sone Walon Ko Koi KHwab Dikhane Se Raha

poet

Huzur-E-Ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho

Mere suKHan Pe Ek Ehsan Ab Ke Sal to Kar

poet

Gae Mausamon Ko Bhula Denge Hum

Nind Se Jagi Hui Aankhon Ko Andha Kar Diya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet