simTun to sifr sa lagun failun to ik jahan huun main
jitni ki ye zamin hai utna hi asman huun main
mere hi dam-qadam se hain qaa.em ye naghma-ḳhvaniyan
gulzar-e-hast-e-bud ka tuti-e-ḳhush-bayan huun main
mujh hi men zam hain jaan le dariya tamam dahr ke
qatra na tu mujhe samajh ik bahr-e-be-karan huun main
nazan hai ḳhadd-o-ḳhal par apne bahut agar to sun
mujh men sabhi ke aks hain a.ina-e-jahan huun main
pahle bhi main qarib tha ab bhi tire qarib huun
mahsus kar mujhe tira ham-zad-e-jism-o-jan huun main
phulon se pyaar kar magar mujh ko na dil-figar kar
kanTa bhi huun agar to kya phulon ke darmiyan huun main
apnon men main hi ghair huun ghairon se kya gila ‘zafar’
apne hi ghar men huun magar ghairon ke darmiyan huun main
Leave a Reply