simat gai to shabnam phuul sitara thi
biphar ke meri lahar lahar angara thi
kal tiri khvahish kab itni banjari thi
tu sar-ta-pa aankh tha main nazzara thi
main ki junun ke paron pe udti khushbu thi
rang rang ke akar men dhalta paara thi
main dharti huun use yahi bas yaad raha
bhuul gaya main aur bhi ik sayyara thi
tu hi to izn tha tu hi anjam hua
tira bichhadna aur main paara paara thi
Leave a Reply