sharminda apni jeb ko karta nahin huun main
bazar-e-arzu se guzarta nahin huun main
pahchan hi na pa.un ḳhud apne hi aks ko
itna bhi aa.ine men sanvarta nahin huun main
un kamon ki banata huun fihrist baar baar
jo kaam mujh ko karne hain karta nahin huun main
Leave a Reply