siikh liya jiina main ne
itna zahr piya main ne
shikva nahin kiya main ne
aansu ponchh liya main ne
un se mil kar aaya huun
ḳhvab nahin dekha main ne
hava ko aate jab dekha
raushan kiya diya main ne
pyasa tha karta bhi kya
likh Daala dariya main ne
parcham sa lahraya huun
khaa.i tez hava main ne
husn-e-chaman likhta kaise
paḌha na ik patta main ne
divaron ki basti men
darvaza likkha main ne
paash paash hua phir bhi
sar uncha rakkha main ne
kisi ko kya dena ‘hashmi’
qarz hi kiye ada main ne
Leave a Reply