• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shuur-E-Zat thoDa Sa Dil-E-Nadan Mein Rakhte Hain

Shuur-E-Zat thoDa Sa Dil-E-Nadan Mein Rakhte Hain

poet

shu.ur-e-zat thoḌa sa dil-e-nadan men rakhte hain

jamal-e-agahi jahl-e-ḳhirad-afshan men rakhte hain

chaman kaisa bayaban kya simaT aa.egi ye duniya

junun ke dam se itni vus.aten daman men rakhte hain

nazar ke samne rahta hai aks-e-gardish-e-dauran

ham a.ina ko dil ke rauzan-e-zindan men rakhte hain

hujum-e-gham men yadon ke nihan-ḳhane mahak uTThe

shagufe lala-zaron ke dil-e-viran men rakhte hain

hamare soz-e-dil se nuur barsati hain vo ankhen

ham apni sham.a taq-e-abru-e-janan men rakhte hain

hamari har nazar un ki nazar men Duub jaati hai

ham apna tiir un ke tiir ke paikan men rakhte hain

koi dastak koi aahaT koi jhonka koi ḳhushbu

‘faridi’ dil ko bas zinda isi arman men rakhte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Be-ruKHi Hi Be-ruKHi Hai Har Taraf

Phir Koi Naya zaKHm Naya Dard Ata Ho

Aqab Se War Tha aaKHir Main Aah Kya Karta

akbar-masoom

Sun! Hijr Aur Visal Ka Jadu Kahan Gaya

Dasht Mein Hai Ek Naqsh-E-Rahguzar Sab Se Alag

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet