Shorish Se Chashm-E-Tar Ki Zi-Bas Gharq-E-Ab Hun

shorish se chashm-e-tar kī zi-bas ġharq-e-āb huuñ

din raat bahr-e-ġham meñ ba-rañg-e-hubāb huuñ

ye daur ab to hai ki raqīboñ kī bazm meñ

tū mast ho sharāb se aur maiñ kabāb huuñ

mujh ḳhūñ-girafta par mire qātil kamar na bāñdh

meñ aap apne qatl kā ḳhvāhāñ shitāb huuñ

har sub.h-o-shām baaġh meñ sahrā meñ juuñ nasīm

us gul kī justujū kī havas par ḳharāb huuñ

hairat se us ko dekhte haiñ misl-e-ā.ina

ifshā-e-dard-e-dil se khaḌā be-javāb huuñ

āgāh hai ḳhudā hī ‘muhib’ roz kis liye

nazroñ meñ un butāñ kī mahall-e-itāb huuñ

Leave a Comment