shitabi apne divane ko kar band
musalsal zulf se kar ya nazar-band
tira shaida na thahra jaan sa ik dam
gaya le coat men lohe ke kar band
jo tujh par aur ko tarjih de dekh
bas us andhe ki ankhen hain magar band
tadapta be-qarari ah-o-zari
huiin ye halaten kyunkar satar-band
hai shoala aag ka har aah ke saath
ye dil hai ya hai siine men sharar band
piyare dar khuda se apni ankhen
hamari tarf se itni na kar band
tujhe khurshid-ru, ji bhar ke dekhun
hui jaati hai meri aankh par band
azizo misr-e-dil ki raah hai duur
rah-e-zulmat men haiga ye dar band
jo chahe do jahan ka kaam lega
hai bandha jis ne himmat ka qamar-band
raho tuk ‘azfari’ ab chashm khole
rahengi aankh phir sham-o-sahar band
Leave a Reply