shisha-e-sa.at men paiham karvaTen leta raha
main badalte vaqt ki gardish ka paimana raha
sham.a ne jal kar pareshan kar diya mira vajud
tirgi tak mujh se vabasta mira saaya raha
dusron ko jo shikayat mujh se thi beja na thi
main vo huun jis ko ḳhud apne aap se shikva raha
zindagi men jaane kitni baar aa kar Tal ga.i
vo ajal men raah jis ki umr bhar takta raha
zauq-e-ra.ij ke mutabiq nit na.e pahne libas
zer jaama jaisa bosida tha bosida raha
ek lamhe ko mila tha kaif az-ḳhud raftagi
ik sadi se bhi ziyada is ka ḳhamyaza raha
ghair ne jab tak na a.ina dikhaya a ‘sharosh’
mera chehra ḳhud miri nazron se poshida raha
Leave a Reply