shisha-e-dil dukan men aaya
pattharon ki amaan men aaya
ham the sahra main tab ba-mushkil vo
apne kamre se lawn men aaya
uf vo sadiyan ki zehn se guzrin
uf vo lamha ki dhyan men aaya
mujh sa ehsas aur mujh sa junun
kab kisi naujavan men aaya
mujh sa sahra-navard-o-sauda.i
kab har ik ḳhandan men aaya
sach bata tab.a-e-hashiya-ara
kyuun ye vaqfa bayan men aaya
jaane kya kya ḳhayal se nikla
jaane kya kya guman men aaya
Leave a Reply