jis ghadi tere astan se gae
ham ne jaana ki do jahan se gae
tere kuche men naqsh-e-pa ki tarah
aise baithe ki phir na vaan se gae
shama ki tarah rafta rafta ham
aise guzre ki jism o jaan se gae
ek din main ne yaar se ye kaha
ab to ham taqat-o-tavan se gae
hans ke bola ki sun le ai ‘asif’
yahi kah kah ke lakhon jaan se gae
Leave a Reply