• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shikayat Ke Ewaz Hum Shukr Karte Hain Sanam Tere

Shikayat Ke Ewaz Hum Shukr Karte Hain Sanam Tere

poet

shikayat ke evaz ham shukr karte hain sanam tere

maza dene lage kuchh sahte sahte ab sitam tere

na puchh ab mujh se tu meri umidon ki ye surat hai

ki hain bhi aur nahin bhi jis tarah pur-lutf kam tere

jidhar tu ne kiya rukh zer-e-pa mera tasavvur tha

na bavar ho to dekh ankhon men hain naqsh-e-qadam tere

lab-e-jan-bakhsh-e-janan kab ijazat denge marne ki

qayamat tak na dekhenge qadam khvab-e-adam tere

nahin rakhta koi sarmaya-e-aamal paas apne

bharose ke liye ashiq ke kaafi hain karam tere

tamanna ghair ki karna khilaf-e-rasm-e-ulfat hai

main ehsan-e-ajal kyuun luun nahin hain kya sitam tere

zara dekhen to kyuun kar dam nikal jaata hai sadmon se

firaq-e-dil-ruba aaj imtihan karte hain ham tere

mujhe bhule nahin pas-e-mohabbat us ko kahte hain

shab-e-vaslat men bhi hain duri-e-janan karam tere

hujum-e-be-khudi men ai ‘nasim’ ab pas-e-maani kya

ijazat de bura achchha likhen jo kuchh qalam tere

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Rawan in Paniyon Par Bulbule Hain

poet

Yan Us Gali Sa Kab Koi Bustan Hai Dusra

chandni-pandey

Ye Mohabbat Jo Mohabbat Se Kamai Hui Hai

Phul Ki Sukh Ki Saba Ki Zindagi

Marna Mariz-E-Ishq Ke Haq Mein Shifa Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet