shiddat bahar ki bhi gavara nahin mujhe
phulon ke todne ka bhi yaara nahin mujhe
maujon se khelta huun iradon ka daur hai
maujon men arzu-e-kinara nahin mujhe
main gir pada tha raah men chalte hue magar
phir bhi to doston ne pukara nahin mujhe
kis din chubhi nahin hain masaib ki kirchiyan
kis din tumhare gham ne sanvara nahin mujhe
rahta huun arzuon ke chhote se shahr men
khush huun ki arzu-e-bukhara nahin mujhe
tum meri jaan ho jaan ka bharosa magar nahin
yaani ki e’tibar tumhara nahin mujhe
Leave a Reply