• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shauq Raaton Ko Hai Darpai Ki Tapan Ho Jaun

Shauq Raaton Ko Hai Darpai Ki Tapan Ho Jaun

shauq raton ko hai darpai ki tapan ho ja.un

raqs-e-vahshat men uThun aur dhuan ho ja.un

saath agar bad-e-sahar de to pas-e-mahmil-e-yar

ik bhaTakti hui avaz-e-fughan ho ja.un

ab ye ehsas ka aalam hai ki shayad kisi raat

nafas-e-sard se bhi sho.ala-ba-jan ho ja.un

la surahi ki karun vahm-o-guman gharq-e-sharab

is se pahle ki main ḳhud vahm-o-guman ho ja.un

vo tamasha huun hazaron mire a.ine hain

ek a.ine se mushkil hai ayaan ho ja.un

shauq men zabt hai malhuz magar kya ma.alum

kis ghaḌi be-ḳhabar-e-sud-o-ziyan ho ja.un

aisa andaz-e-ghazal ho ki zamane men ‘zafar’

daur-e-a.inda ki qadron ka nishan ho ja.un

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Lakir-E-Sang Ko Anqa-Misal Humne Kiya

Hum Ek Shahr Mein Jab sans Le Rahe Honge

ahmad-nadeem-qasmi

dilon Se Aarzu-E-Umr-E-Jawedan Na Gai

Duniya Bhi Ajab Qafila-E-Tishna-Laban Hai

ahmad-hamesh

Be-Barg Shajar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet