shauq-e-varafta chala shahr-e-tamasha ki taraf
badh gae ham bhi hisar-e-husn-e-laila ki taraf
ham se maujen kah rahi thiin aa miri aghosh men
ham kahan yuun ja rahe the mauj-e-dariya ki taraf
is qadar duube gunah-e-ishq men tere habib
sochte hain jaenge kis munh se tauba ki taraf
kya zaruri hai ki hirs-e-jalva-e-sad-rang men
har nazar bhatke kisi bhi husn-ara ki taraf
ayat-e-husn-o-mohabbat se hai bas do hi murad
ek hai meri taraf ik mah-para ki taraf
shahr-e-dil virana kardam pa-ba-jaulan mi-kuni
ji khincha jaata hai apna ab to sahra ki taraf
saari duniya dushman-e-jan ban gai hai ai ‘siraj’
koi patthar bhi na aaya tere shaida ki taraf
Leave a Reply