ai bujhe rangon ki shaam ab tak dhuan aisa na tha
aaj ghar ki chhat se dekha asman aisa na tha
kab se hai girte hue patton ka manzar aankh men
jaane kya mausam hai ḳhvabon ka ziyan aisa na tha
koi shai lahra hi jaati thi fasil-e-shab ke paar
duur ufuq men dekhna kuchh ra.egan aisa na tha
peḌ the saa.e the pagDanDi thi ik jaati hui
kya ye sab kuchh ḳhvab tha sach-much yahan aisa na tha
fasla kam karne vaale raste shayad na the
ab to lagta hai safar hi darmiyan aisa na tha
dil ki tha maa.il bahut viran jaziron ki taraf
ye hava aisi na thi ye badban aisa na tha
koi gosha ḳhvab ka sa DhunD hi lete the ham
shahr apna shahr ‘bani’ be-aman aisa na tha
Leave a Reply