shauq-e-dil fikr-e-dahan men hai jo rahbar ki tarah
dhundhta huun chashma-e-haivan sikandar ki tarah
meri aahon ko abas hai na-rasai ka gila
dil men ghar karna to sikhen yad-e-dilbar ki tarah
sar se pa tak hai misal-e-gardan-e-taslim kham
kis se hota hai adab qatil ka khanjar ki tarah
tha jo vaqt-e-qatl arman-e-ham-aghoshi mujhe
khuun ki chhinten lipti hain khanjar se jauhar ki tarah
dard-e-dil uth uth ke dhata hai qayamat jaan par
sham-e-hijr-e-ashiqan hai subh-e-mahshar ki tarah
dil ko ankhon ne sujhai hain jo rahen ishq ki
har jagah mujh ko liye phirta hai rahbar ki tarah
yad-e-gesu ik bala-e-jan-sitan hai hijr men
kaate khata hai mira ghar mujh ko azhdar ki tarah
is ko lutf-e-dard us ko lazzat-e-mashq-e-jafa
dil ki aadat bigdi hai khu-e-sitamgar ki tarah
un ki aamad ki khabar sun kar hujum-e-shauq se
kashmakash hai khana-e-dil men bhare ghar ki tarah
misl-e-divana phira karta hai kyon ye roz-o-shab
asman ko bhi hai kya sauda mire sar ki tarah
aap ki ghaflat se saari arzuen mar gaiin
dil mira viran hai ujde hue ghar ki tarah
ban ke shabnam laakh tapken chashm-e-akhtar se sarishk
roega kya asman us dida-e-tar ki tarah
tukde tukde dil jigar hain tez fiqron se huzur
aap ki tegh-e-zaban chalti hai khanjar ki tarah
raah men dil nichi nazron se hua jaata hai zabh
jhuk ke bhi chalta hai vo qatil to khanjar ki tarah
shukr-e-khaliq hai ki be-minnat main hota huun shahid
dil ko yad-e-abru-e-qatil hai khanjar ki tarah
tauba tauba kya ghazab saaqi ki ghaflat ne kiya
sab ki surat dekhta huun rind-e-be-zar ki tarah
hijr-e-saqi men nazar aaya kahin gar shaghl-e-mai
dabdabae dida-e-tar chashm-e-saghar ki tarah
arzu-e-vasl-e-qatil itni hai mujh zaar ko
huun hama-tan surat-e-aghosh khanjar ki tarah
ai ‘nazar’ ishq-e-miyan-e-yar ka hai ye asar
jism-e-laghar jo nihan hai jaan ke jauhar ki tarah
Leave a Reply