Shauq Deta Hai Mujhe Paigham-E-Ishq

shauq detā hai mujhe paiġhām-e-ishq

haath meñ labrez le kar jām-e-ishq

aap huuñ zauq-e-asīrī se ḳharāb

koī le jaa.e mujhe tā dām-e-ishq

ishtiyāq-e-sajdā se betāb huuñ

ai harīm-e-kāba-e-islām-e-ishq

qais o vāmiq se kahāñ ab ahl-e-dil

thā inhīñ logoñ se raushan nām-e-ishq

naash par farhād ke shīrīñ ga.ī

vo sitam-parvarda-e-ālām-e-ishq

aur yuuñ karne lagī ro kar ḳhitāb

ai vafā kī jaan ai nākām-e-ishq

tujh se raunaq-āshnā hai sub.h-e-shauq

tujh se zīnat-āfrīñ hai shām-e-ishq

jaan de kar tū to chhūTā ranj se

rah ga.ī maiñ hī balā āshām-e-ishq

terā marnā ishq kā āġhāz thā

maut par hogā mire anjām-e-ishq

‘vahshat’-e-vahshī ki thā sab se alag

ho gayā kyā be-takalluf rām-e-ishq

Leave a Comment