shanasa-e-salib-e-gham badan hai
ye apna aap hi goya kafan hai
mujhe rusva kya kam-ma.egi ne
mira hi zarf mujh par ta.ana-zan hai
pata deti hai lau ye tharthara kar
fasurda-dil charagh-e-anjuman hai
lagao tohmat-e-isyan na is par
nahin yusuf ka mera pairahan hai
aziz-e-misr aur qurb-e-zuleḳha
nigar-e-ḳhvab ka ye husn-e-zan hai
fida.i zindagi paa.en ajal se
isharon ki yahi rasm-e-kohan hai
hamin ne zindagi teshe ko baḳhshi
hamin se azmat dar-o-rasan hai
kiya zanjir-e-pa mahmil-nashin ko
jabin-e-vaqt par kaisi shikan hai
usi jalve se ‘baḳht’ ankhen hain raushan
vahi jalva nigahon ka kafan hai
Leave a Reply