har ek qatra
samundaron men sama gaya hai
vajud apna ganva chuka hai
isi yaqin par
ki ab vo qatre se ik samundar
ki be-karani men dhal gaya hai
magar yahan hai
bahut akela jo ek qatra
vajud apna sambhal kar muskura raha hai
ki us ke andar kai samundar sama gae hain
Leave a Reply