shaam dil ko bujha.e jaati hai
teri baten suna.e jaati hai
ye udasi bhi ḳhubsurat hai
mujh ko rangin bana.e jaati hai
raat ki aankh se use dekho
kaise manzar dikha.e jaati hai
ek lamhe ki raushni mujh men
ek duniya basa.e jaati hai
kitni gambhir hai ye tariki
mere andar sama.e jaati hai
hijr ki shab hamari janib kyuun
dekh kar muskura.e jaati hai
zindagi bevafa sahi lekin
saath phir bhi nibha.e jaati hai
aap ta.abir jante honge
chandni baukhla.e jaati hai
koi ḳhushbu gurezan hai mujh se
koi aahaT bula.e jaati hai
zindagi laDli si shahzadi
mera anchal uḌaa.e jaati hai
Leave a Reply