• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shakh-E-Gul Hai Ki Ye Talwar Khinchi Hai Yaro

Shakh-E-Gul Hai Ki Ye Talwar Khinchi Hai Yaro

ali-sardar-jafri

shakh-e-gul hai ki ye talvar khinchi hai yaaro

baagh men kaisi hava aaj chali hai yaaro

kaun hai khauf-zada jashn-e-sahar se puchho

raat ki nabz to ab chhut chali hai yaaro

taak ke dil se dil-e-shisha-o-paimana tak

ek ik buund men sau shama jali hai yaaro

chuum lena lab-e-lalin ka hai rindon ko rava

rasm ye bada-e-gul-gun se chali hai yaaro

sirf ik ghuncha se sharminda hai aalam ki bahar

dil-e-khun-gashta ke honton pe hansi hai yaaro

vo jo angur ke khoshon men thi manind-e-nu.jum

dhal ke ab jaam men khurshid bani hai yaaro

bu-e-khun aati hai milta hai baharon ka suragh

jaane kis shokh sitamgar ki gali hai yaaro

ye zamin jis se hai ham khak-nashinon ka uruuj

ye zamin chand sitaron men ghiri hai yaaro

jura-e-talkh bhi hai jam-gavara bhi hai

zindagi jashn-gah-e-bada-kashi hai yaaro

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ye Aarzu Hain Hum Koi Aarzu Karte

Balaen Lijiye Ab Barishon Ki

Rang Ab Yun Teri Taswir Mein Bharta Jaun

Zabt-E-Girya Mein Bhi Girya to Kiya Hai Maine

Din Dhala Jata Hai Sham Aati Hai Ghabraata Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet