ishq ko jab husn se nazren milana aa gaya
ḳhud-ba-ḳhud ghabra ke qadmon men zamana aa gaya
jab ḳhayal-e-yar dil men valehana aa gaya
lauT kar guzra hua kafir zamana aa gaya
ḳhushk ankhen phiki phiki si hansi nazron men yaas
koi dekhe ab mujhe aansu bahana aa gaya
ghuncha o gul maah o anjum sab ke sab bekar the
aap kya aa.e ki phir mausam suhana aa gaya
main bhi dekhun ab tira zauq-e-junun-e-bandagi
le jabin-e-shauq un ka astana aa gaya
husn-e-kafir ho gaya amada-e-tark-e-jafa
phir ‘asad’ meri tabahi ka zamana aa gaya
Leave a Reply