sha.iba hijrat ka ab mere irade men nahin
dusri ansar ki basti bhi naqshe men nahin
ishq ko dena paḌa hai apni sanson ka ḳhiraj
ye bhi tai hai is bina par main ḳhasare men nahin
ḳhush-guman hain TuuTe phuTe log bhi is shahr men
kaun hai vo jo daba ḳhud apne malbe men nahin
ye alamiya hai chamakte jagmagate daur ka
raushni hote hue bhi ham ujale men nahin
ho nahin sakti ana ik ḳhaksari se buland
boriye men jo masarrat hai vo sofe men nahin
chand lamhon men hua karta hai tai lamba safar
kya hai vo raftar jo sikkon ke pahiye men nahin
tu ne kya ne.amat ata ki hai dil-e-‘maqsud’ ko
mujh men hai jo dard vo koi farishte men nahin
Leave a Reply