shahron ki ḳhaak chhan kar aaya huun gaanv men
kitna sukun mila hai daraḳhton ki chhanv men
vo aa raha hai meri taraf rengta hua
kanTa talab ka chubh gaya patthar ke paanv men
ab us ke jism par bhi muzayyan hain dhajjiyan
jis ka shumar tha kabhi rangin qabaon men
deta raha pahaḌ ki choTi se vo sada
us ki sada.en kho ga.iin unchi fazaon men
sabza sa ek shahr pe bikhra hai char-su
patton ke rang ghul ga.e ThanDi havaon men
‘betab’ laḌkiyon ki jasarat to dekhiye
ḳhud ko shumar karti hain sab apsaraon men
Leave a Reply