shahr-e-tarik ko sapnon ka nagar hone tak
muntazir baiThi huun is shab ki sahar hone tak
hijr men halat-e-dil kaise sambhal pa.egi
rah-e-dushvar se yadon ka guzar hone tak
raat ki god men arman liye baiThi huun
kaash aa jaa.e vo ye raat basar hone tak
us ka mujh se hai taqaza ki gulistan men rahun
apni ra.ana.i ka phulon pe asar hone tak
pyaar ko ahl-e-zamana se bacha kar rakhiye
pyaar ki apni sabhi manzilen sar hone tak
vo to aa ja.ega mujh ko ye yaqin hai lekin
miT na ja.un kahin main us ko ḳhabar hone tak
tum ne ‘zaryab’ yunhi naghma sunaya tha use
us ko gaana hai magar pyaar amar hone tak
Leave a Reply