shahr-e-shor-o-shar tanha ghar ke bam-o-dar tanha
tum nahin to lagta hai alam-e-bashar tanha
dard ashna taa.ir chheḌ naghma-e-hasrat
kyuun ḳhamosh baiTha hai gham ki shaḳh par tanha
jab ḳhushi ka mausam tha ham-safar tha ik aalam
kaTni hai ab lekin gham ki rahguzar tanha
har taraf tiri yaden muskurati rahti hain
kis ne kah diya tujh se ab hai mera ghar tanha
tum ne ba.ad muddat ke dil ka haal puchha hai
karvaTen badalta hai gham ki sej par tanha
shahr ke gali kuche puchhte hain rah rah kar
ai ‘sarosh’ phirte ho kyuun idhar-udhar tanha
ai ‘sarosh’ mat puchho meri kya haqiqat hai
zindagi ke sahra men dard ka shajar tanha
Leave a Reply