shahr-e-ghazal men bikne ko tayyar kaun hai
yusuf nahin to zinat-e-bazar kaun hai
sab ke labon pe na.ara-e-mansur hai magar
ye dekhna hai aaj sar-e-dar kaun hai
apna zamir jhuuT kabhi bolta nahin
tum hi kaho ki sahab-e-kirdar kaun hai
tark-e-ta.alluqat ko ik umr ho ga.i
tanha.iyon men ma.il-e-guftar kaun hai
tasviren roz banti hain sheron ki shakl men
mere tasavvurat ka shahkar kaun hai
jalne ko sham.a bhi jali parvana bhi jala
kaise kahen ki kis ka vafadar kaun hai
ham log ḳhanqahon men ja.enge kis tarah
sab parsa hain ham sa gunahgar kaun hai
ashkon ke phuul le ke main nikla to huun ‘ra.is’
ye dekhna hai un ka ḳharidar kaun hai
Leave a Reply