shahar ujḌe hue ḳhvabon ke basa.e kya kya
niind men ham ne dar-o-bam saja.e kya kya
har qadam par kisi manzil ka guzarta tha guman
raah chalte hue manzar nazar aa.e kya kya
ham ki phir teri haqiqat pe nazar kar na sake
zindagi tu ne hamen ḳhvab dikha.e kya kya
ik sitara ki chamakta hai bahut duur kahin
zulmat-e-shab men hamen paas bula.e kya kya
mausam-e-gul men tira ham se juda ho jaana
yaad aa.e to hamen ḳhuun rula.e kya kya
kho se jaate hain kahin us ka ḳhayal aate hi
ham use bhuul ke bhi bhuul na paa.e kya kya
mundamil ho ga.e sab zaḳhm purane to magar
dil ki ik taaza kasak ham ko sata.e kya kya
kya masafat hai ki hairan kiye deti hai
har guzarta hua pal samne laa.e kya kya
ansuon ne tiri tasvir bhi dhundli kar di
naqsh paani pe magar ham ne bana.e kya kya
likhne baiThen jo kabhi umr-e-guzishta ka hisab
ek ik lamha hamen yaad dila.e kya kya
kya kahen vo bhi hamen raas na aa.i ‘maḳhmur’
ik ḳhushi jis ke liye ranj uTha.e kya kya
Leave a Reply