• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shab-O-Roz Raqs-E-Visal Tha So Nahin Raha

Shab-O-Roz Raqs-E-Visal Tha So Nahin Raha

rehana-roohi

shab-o-roz raqs-e-visal tha so nahin raha

kabhi tujh ko mera khayal tha so nahin raha

vo jo be-qarari-e-jan-o-dil thi nahin rahi

vo jo hijr tera muhal tha so nahin raha

kabhi aankh men jo muravvaten thiin fana huiin

pas-e-chashm ashk-e-malal tha so nahin raha

ye to e’tiraf-e-shikast hai ki mazid ab

koi mahram-e-mah-o-sal tha so nahin raha

vo ki chand jis pe kabhi ghurub nahin hua

yahan ik vo shahr-e-jamal tha so nahin raha

mujhe aisa lagta hai jaise aankh se khvab ka

vo jo rabta sa bahal tha so nahin raha

mujhe qatl kar ke moamla nahin hoga khatm

ki jo qatl pahle kamal tha so nahin raha

mira e’tibar adam vajud se uth gaya

vo jo zindagi ki misal tha so nahin raha

shab-e-mahtab men raat ghatne ke saath saath

jo samundaron men ubaal tha so nahin raha

hai ajab mashaqqat-e-vasl jis ki thakan se qabl

ye badan thakan se nidhal tha so nahin raha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-faraz

Intisab

poet

Lutf to Jab Hai Ki Tujh Sa Tera Diwana Bane

poet

Aan Se Zalim Ka Imtihan Aur Main

parveen-shakir

Apni Tanhai Mere Nam Pe Aabaad Kare

poet

Jahan Mein Abhi Yun to Kya Kya Na Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet