shab na ye sardi se yaḳh-basta zamin har tarf hai
mah pukare hai falak-parvardagi to barf hai
shah-e-gul ka hukm sayyaron ke ye hai baagh men
jo na pi kar aa.e mai naukar nahin bartarf hai
surḳh hai rumal-e-shali us ke tahatul-jang tak
mus.haf ruḳhsar par ya jadval-e-shangarf hai
nau-ḳhaton ke dil men juz mashq-e-sitam tarz-e-vafa
yaksar-e-mu ho sake kursi-nashin kya harf hai
dars-e-ilm-e-ishq se vaqif nahin mutlaq faqih
nahv hi men mahv hai ya sarf hi men sarf hai
mu se hai barik sher-o-sha.eri ke darmiyan
ma.ani-e-misra-e-qamat kya qayamat zarf hai
zahid-e-ḳhushk-o-ḳhunuk se kab ho sohbat un ki garm
atish-e-tar se ‘muhib’ jin ka labalab zarf hai
Leave a Reply