shab-e-firaq hamara vo nim-jan hona
ajal ka aap hi ghar men vo mehman hona
khafa na sun ke mira haal mehrban hona
ki is bayan ko ik din hai dastan hona
dayar-e-husn ki sar-garmiyan maaz-allah
har ik qadam pe mohabbat ka imtihan hona
koi sitam ho yahin se shurua hota hai
ghazab hai kucha-e-janan ka asman hona
ajal se pahle saba le udi sar-e-manzil
kahan pe aaya hai kaam apna na-tavan hona
utha vo dard kaleje men vo gire aansu
nahin hai khel mohabbat ka raz-dan hona
nigah-e-qahr kabhi aur kabhi karam ki nazar
inhin adaon ka mil-jul ke dastan hona
vo kya kare na mite gar tiri mohabbat men
likha ho jis ke muqaddar men be-nishan hona
abhi na shaad ho takmil-e-ishq par ‘afqar’
abhi hai tark-e-mohabbat ka imtihan hona
Leave a Reply