• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mujh Pe Har Zulm Rawa Rakh Ki Main Jo Hun so Hun

Mujh Pe Har Zulm Rawa Rakh Ki Main Jo Hun so Hun

mujh pe har zulm rava rakh ki main jo huun so huun

mujh ko apne se juda rakh ki main jo huun so huun

main ki maslub huun de mujh ko bhi zalim ka ḳhitab

sunnat-e-isa jila rakh ki main jo huun so huun

mere ghar men hai jo ghasib to nikalun ki nahin

mujh pe ilzam-e-jafa rakh ki main jo huun so huun

tere maqtul pe sargarm hain saare munsif

meri lashon ko uTha rakh ki main jo huun so huun

garm aahon pe hai ilzam ki huun sho.ala-nafas

mujh ko phunkon se bujha rakh ki main jo huun so huun

kyuun sahifon men likha hai ki milega insaf

lafz-o-mani na juda rakh ki main jo huun so huun

teri zambil men har chaal purani hai raqib

mujh ko apnon se laḌa rakh ki main jo huun so huun

apne virse se tira qabza haTana hai haris

naam dahshat ki bala rakh ki main jo huun so huun

main ne ankhon men jala rakha hai azadi ka tel

mat andheron se Dara rakh ki main jo huun so huun

gar mira haq na milega to bigaḌ ja.egi baat

apne pahlu se laga rakh ki main jo huun so huun

karbala rakh ke hatheli pe chala huun ghar se

bai.at-e-zulm haTa rakh ki main jo huun so huun

jab zaminon men jaḌen hain to kidhar ja.unga

meri shaḳhen na kaTa rakh ki main jo huun so huun

adl ki miTTi men ugte nahin dahshat ke babul

apni miTTi ko safa rakh ki main jo huun so huun

band ankhon se siyah-ru nazar aa.ega ‘anis’

chashm-e-bina ko khula rakh ki main jo huun so huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jine Mein Thi Na Naza Ke Ranj O Mehan Mein Thi

Bhuk Ki kaDwahaT Se Sard Kasile honT

Ro Raha Tha Main Bhari Barsat Thi

kaifi-azmi

Aaj Socha To Aansu Bhar Aae

akhtar-hoshiyarpuri

Harf-e-Be-Awaz Se dahka Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet