kisi ke pyaar men har dam gul-o-gulzar sa rahna
bina chakkhe kisi mai ko yuun hi sarshar sa rahna
yaqin karna kisi ki zaat par aur phir badal jaana
kabhi laila kabhi majnun kabhi hushiyar sa rahna
kabhi sang-e-malamat sah ke is duniya ko taj dena
kabhi apne hi raste men kisi divar sa rahna
tumhen kya ho gaya hai ‘nilma’ is dasht-e-vahshat men
kabhi chhup-chhup ke ro lena kabhi bimar sa rahna
Leave a Reply