saz-e-hasti ka ajab josh nazar aata hai
ik zamana hama-tan-gosh nazar aata hai
hasrat-e-jalva-e-didar ho puuri kyunkar
vo tasavvur men bhi ru-posh nazar aata hai
dekhte jaao zara shahr-e-ḳhamoshan ka saman
ki zamana yahan ḳhamosh nazar aata hai
aap ke nashtar-e-mizhgan ko chubho leta huun
ḳhun-e-dil men jo kabhi josh nazar aata hai
aap hi sirf jafa-kosh nazar aate hain
saara aalam to vafa-kosh nazar aata hai
mausam-e-gul na raha dil na raha ji na raha
phir bhi vahshat ka vahi josh nazar aata hai
shana-e-yar pe bikhri to nahin zulf-e-daraz
har koi ḳhanuman bar-dosh nazar aata hai
jalva-e-qudrat-e-bari ka muamma na khula
ru-ba-ru rah ke bhi ru-posh nazar aata hai
phir zara ḳhanjar-e-qatil ko ḳhabar de koi
ḳhun-e-‘bismil’ men vahi josh nazar aata hai
Leave a Reply