jab chaha khud ko shaad ya nashad kar liya
apne liye fareb sa ijad kar liya
kya sochna ki shauq ka anjam kya hua
jab ikhtiyar pesha-e-farhad kar liya
khud se chhupa ke khud ko zamane ke khauf se
ham ne to apne aap ko barbad kar liya
tha ishq ka havala naya ham ne is liye
mazmun-e-dil ko phir se taba-zad kar liya
yuun bhi panah-e-saya kadi dhuup men mili
ankhen jhukain aur tujhe yaad kar liya
aaya naya shuur nai uljhanon ke saath
samjhe the ham ki zehn ko azad kar liya
bas ki imam-e-asr ka farman tha yahi
munh ham ne su-e-qibla-e-azdad kar liya
Leave a Reply