saaya qadam qadam pe hai har raushni ke saath
sub.hen chhupi hain parde men har tirgi ke saath
asan kar di tere tasavvur ne manzilen
guzre rah-e-hayat se ham be-ḳhudi ke saath
sajde dil-o-nazar ke to har ja bikhar ga.e
dair-o-haram ka kaam hi kya bandagi ke saath
ik dard tha ki bazm se le kar teri chale
dil yaan ki vaan luTa ke chale ham ḳhushi ke saath
teri nigah-e-naz ke qurban ja.iye
lapka hai dil men sho.ala magar dilkashi ke saath
teri talab men dar-o-rasan se guzar ga.e
khela hai ham ne khel koi zindagi ke saath
saghar men apni ankhon ki masti bhi ghol de
mai bhi do-atishan ho tiri dilbari ke saath
fitne se kam nahin hai bigaḌna tira magar
nikhra hai husn aur bhi kuchh barhami ke saath
apna bana ke yuun mujhe chhoḌa hai raah men
do-gam jaise koi chale ajnabi ke saath
ai shikva-sanj tera hi daman nahin vasi.a
kya ne.amaten ‘habib’ milin zindagi ke saath
Leave a Reply