saval kya karun tujh se gunahgar huun main
nigah chaar ho kyun-kar ki sharmsar huun main
ravana rakh ki jahan men zalil-o-khvar huun main
jo huun so huun pa tire dar ka khaksar huun main
pada hua huun buton ki gali men dil thame
saba sambhal ke zara chal nahif-o-zar huun main
kasi se matlab-e-dil mera hal nahin hota
saval-e-masala-e-jabr-o-ikhtiyar huun main
jafa-o-zulm us ke gila karun kyun-kar
sitam-shiar hai vo aur vafa-shiar huun main
tumhin batao kare sabr kab talak koi
na har kasi se hanso tum na ashk-bar huun main
isi ko kahte hain ya-rab nasib ki yaari
ki yaar vo bhi na ho aur be-dayar huun main
vafa ka lutf mile gar hazar janen hon
nisar tujh pe miri jaan hazar baar huun main
zaban ho band zaban se agar saval karun
qalam hon haath agar muddaa-nigar huun main
ilahi jazb-e-mohabbat men de asar itna
kaleja thaam le vo bhi jo be-qarar huun main
hazar apni kahun us ki ek bhi na sunun
khuda vo din kare us se kahin do-char huun main
main mast-e-bada-e-hubb-e-ali huun ai ‘anjum’
kabhi bahak na sake jo vo bada-khvar huun main
Leave a Reply